purani baat hai lekin ye anhoni si lagti hai ali-bin-muttaqi masjid ke mimbar par khada kuchh aayaton ka wird karta tha juma ka din tha masjid ka sehn allah ke bandon se khali tha ye pahla din tha masjid mein koi aabid nahin aaya ali-bin-muttaqi roya muqaddas aayaton ko makhmalin juz-dan mein rakkha imam-e-dil-girafta niche mimbar se utar aaya khala mein dur tak dekha faza mein har taraf phaili hui thi dhund ki kai hua phir yun munderon gumbadon par an-ginat par phad phadae kasni kale kabutar sehn mein niche utar aae wazu ke waste rakkhe hue loton par ek ek kar ke aa baithe imam-e-dil-girafta phir se mimbar par chadha juz-dan ko khola safon par ek nazar dali ye pahla din tha masjid mein wazu ka hauz khali tha safen mamur thin sari!