jaanan! kya ye ho sakta hai aaj ki sham kahin nahin jaen shor machane wale fite aawazon se bhare tawe sab thodi der ko chup ho jaen jaanan! kya ye ho sakta hai is pyari mashrub ke paimane bhi na chhalken jin ke bal-bute pe hamari khush-akhlaqi aam hui hai aur na mauzuat ke lawe munh se ublen aise log ki jin ke chehre bahut bade aur dil chhote hain aaj hamein surat na dikhaen thodi der ko tanhai ki halki khunki basi rahe log gharon mein aur botal almari hi mein saji rahe hum donon us kamre mein hon jis ki diwaron pe hamare sukh ke bandhan taswiron ki shakl mein aawezan rahte hain jis mein rakkhe kath ke ghode kot ke hathi sab hum ko takte rahte hain jis mein baithi kanch ki chidiyan hum ko dekh ke dar si gai hain jis mein rakkhi kai kitaben hum se ruth ke mar si gai hain hum donon tanha hon thodi der ko gum-sum se baithen phir rafta rafta baat-chit ke chhote chhote phul khilen qurbat ki garmi se pashemani ke aansu diye ki tarah se jal utthen jaanan kya ye ho sakta hai ab bhi mera dil kahta hai shayad aisa ho sakta hai