amman mujhko basta de de

By amjad-islam-amjadOctober 24, 2020
amman mujh ko basta de de
duniya mujh ko rasta de de
jaana hai school mujhe to jaana hai school
jaan sakun ki achchha kya hai


khara hai kyun kar khota kya hai
haq aur farz mein farq hai kitna
sach aur jhut ka jhagda kya hai
amman mujh ko basta de de


duniya mujh ko rasta de de
jaana hai school mujhe to jaana hai school
aag hawa pani aur mitti
tare kyun hain kya ye zamin hai


hum hain kyun ye duniya kya hai
harf hi sab raazon ka amin hai
amman mujh ko basta de de
duniya mujh ko rasta de de


jaana hai school mujhe to jaana hai school
47205 viewsnazmEnglish