amn ki faKHtaen

By haidar-bayabaniApril 3, 2022
amn ki fakhtaen udaenge hum
sari duniya ko jannat banaenge hum
phul khilte rahen dip jalte rahen
aisi rahon pe sab log chalte rahen


baat apni sabhi ko gawara lage
zindagi yun jien bhai-chaara lage
ghar kisi ka jale aa bujhaenge hum
amn ki fakhtaen udaenge hum


bandh le har kise pyar ki doriyan
pat den nafraton ki sabhi khaiyan
goliyan na kabhi sansanaen kahin
gandh barud ki aa na pae kahin


ek din daur aisa bhi laenge hum
amn ki fakhtaen udaenge hum
sari duniya ko jannat banaenge hum
50312 viewsnazmEnglish