ana ka kaun sa chehra tha wo main ye samajh paya nahin hun aaj tak khabar ye aai thi tabi'at raat se behtar hai kuchh is waqt un ki mujhe ye baat sun kar to khushi se jhum uthna chahiye tha magar main chup khada tha ye shayad wo nahin tha jo main sunna chahta tha to kya is khas pal mein main un ki maut ka khwahan tha aur wo bhi is zara si baat par ki main ne raat yunhi doston ke bich mein ye kah diya tha mujhe aasar kuchh achchhe nahin lagte sawere tak bhi ye zinda agar rah jaen to jaano kaha pura na hone ki meri be'izzati kisi ki jaan se badh kar bhi ho sakti hai mujh ko ye nahin ma'lum tha