ghair-fitri tahaffuz ki majburiyan aadmi aaj kide-makode ki manind phir rengne lag gaya jin mein jine ki kuchh ahliyat hi nahin wo bhi zinda hain aur zinda rahne ke haqdar logon ka haq kha rahe hain bojh dharti ke sine ka badhta chala ja raha hai utha do ye sare qawanin be-ja zaminon ko aazad kar do usul-e-azal aur qanun-e-fitrat zamin par azal hi ki manind chal jaega zinda rahne ki taqat tamanna irada sai jin mein hogi wo zinda rahenge baqi nakara mar jaenge bojh dharti ke sine ka tal jaega aur phir saf-suthri nai khub-surat si duniya ubhar aaegi