baat niklegi to phir dur talak jaegi log be-wajh udasi ka sabab puchhenge ye bhi puchhenge ki tum itni pareshan kyun ho jagmagate hue lamhon se gurezan kyun ho ungliyan utthengi sukhe hue baalon ki taraf ek nazar dekhenge guzre hue salon ki taraf chudiyon par bhi kai tanz kiye jaenge kanpte hathon pe bhi fiqre kase jaenge phir kahenge ki hansi mein bhi khafa hoti hain ab to 'ruhi' ki namazen bhi qaza hoti hain log zalim hain har ek baat ka tana denge baaton baaton mein mera zikr bhi le aaenge in ki baaton ka zara sa bhi asar mat lena warna chehre ke tassur se samajh jaenge chahe kuchh bhi ho sawalat na karna un se mere bare mein koi baat na karna un se baat niklegi to phir dur talak jaegi
This is a great chudiyon ki shayari. True lovers of tanz bhari shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore jawab hum denge shayari. Please share if you liked this!!!