andhera

By bano-tahira-sayeedJanuary 19, 2024
kitna gambhir ghata-top andhera hai yahan
dagh-e-dil se bhi ujala nahin hone pata
sho’la-e-ah bhi deta nahin lau halki si
zindagi jalti hai mash'al nahin jalti koi


aansu pighli hui aatish ki tarah bahte hain
aisi aatish ki nahin jis mein zara si bhi damak
par tapish aisi ki dozakh bhi jhulas kar rah jae
kaisa andher hai virani hai andhiyara hai


raat hi raat hai raaton ka magar husn nahin
koi tara nahin jugnu nahin mahtab nahin
is jazire mein mera ghar hai siyah-bakhti hai
aur atraf jazire ke hai kala sagar


dub jate hain safine jahan ummidon ke
kitna gambhir ghata-top andhera hai yahan
73573 viewsnazmEnglish