andheri basti

By muslim-shameemOctober 25, 2023
waqt shahid hai ki har daur mein tahzib ki mang
qatl-gahon ke tabassum se shafaq-rang rahi
jin ke khun se hai rukh-e-zist ki rangat un ki
bhuk iflas ki nagin se sada jang rahi


jin ki mehnat se hai mahlon ke makinon ka ghurur
zindagi un ke liye dukh ki andheri basti
lut qudrat ki mashiyyat hai khuda ka mansha
is khule jhut ki taid nahin ho sakti


dhup ki aatishin chadar mein jhulasta hua jism
kitni sadiyon se hai tarikh-e-tashaddud ka jamal
hukm hai maqtal-o-zindan ke nigahbanon ka
aadamiyyat ke taqaddus ka uthao na sawal


ishrat-e-zist muqayyad rahi aiwanon mein
ahl-e-mehnat ke liye dard ka sarmaya hai
chand afrad ne fitrat ka taqaza kah kar
zulm ko ishq ki taqdir bana rakkha hai


khauf ke abr se insaf ki shabnam barse
is haqiqat ki haqiqat ko koi kya samjhe
lutne wale khudayan-e-jahan thahre hain
is tamaddun ke taqaddus ko bhala kya kahiye


jhut har sach ki hai buniyaad jahan kya kahiye
jurm izhaar-e-sadaqat hai yahan kya kahiye
30128 viewsnazmEnglish