main ne logon se bhala kya sikha yahi alfaz mein jhuti sachchi baat se baat milana dil ki be-yaqini ko chhupana sar ko har ghabi kund-zehn shakhs ki khidmat mein jhukana hansna muskuraate hue kahna sahab zindagi karne ka fan aap se behtar to yahan koi nahin jaanta hai guftugu kitni bhi majhul ho matha hamwar kan bedar rahen aankhen nihayat gahri soch mein dubi hui falsafi aise kitabi ya zabani mano us se pahle kabhi insan ne dekhe ne sune un ko batla do yahi baat wagarna ek din o ruh din bhi bahut dur nahin tum nahin aaoge ye log kahenge jahil baat karne ka saliqa hi nahin jaanta hai kya tumhein khauf nahin aata hai khauf aata hai ki logon ki nazar se gir kar hazra daur mein ek shakhs jiye to kaise shahr mein lakhon ki aabaadi mein ek bhi aisa nahin jis ka iman kisi aise wajud aisi hasti ya haqiqat ya hikayat par ho jis tak hazra daur ke jibrail ki yani akhbar dastaras na ho rasai na ho main ne logon se bhala kya sikha buzdili aur jahaalat ki faza mein jina daimi khauf mein rahna kahna sab barabar hain hujum jis taraf jae wahi rasta hai main ne logon se bhala kya sikha