meri ammi mujhe school jaane ke liye tayyar karti thi mere jute mera basta meri wardi sabhi kuchh us ki almari mein rakkha tha mere baste mein rakkha lunch biscuit toffiyan aur toast jab yunhi bina khae kabhi ghar lautta to ek ghusse se bhari aawaz aur phir chand lamhon ke liye wo ruth jati thi magar jab wo meri aankhon mein aansu dekhti to man jati thi main darta tha kabhi bazar mein jata to ungli tham rakhta tha mujhe lagta agar mujh se ye ungli chhut jaegi to main kho jaunga khone ka dar chaalis salon tak mere dil mein raha aur main ne ek lamha bhi wo ungli nahin chhodi magar ek roz jab us ne mere mazbut hathon mein ye duniya chhod di meri bhi ungli kat gai ye zindagi jo ek dil mein mujtama thi sainkadon tukdon ke andar bat gai