august-1952

By January 1, 2017
august-1952
raushan kahin bahaar ke imkan hue to hain
gulshan mein chaak chand gareban hue to hain
ab bhi khizan ka raj hai lekin kahin kahin
goshe rah-e-chaman mein ghazal-khwan hue to hain


thahri hui hai shab ki siyahi wahin magar
kuch kuchh sahar ke rang par-afshan hue to hain
in mein lahu jala ho hamara ki jaan o dil
mahfil mein kuchh charagh farozan hue to hain


han kaj karo kulah ki sab kuchh luta ke hum
ab be-niyaz-e-gardish-e-dauran hue to hain
ahl-e-qafas ki subh-e-chaman mein khulegi aankh
baad-e-saba se wada-o-paiman hue to hain


hai dasht ab bhi dasht magar khun-e-pa se 'faiz'
sairab chand khar-e-mughilan hue to hain
69905 viewsnazmEnglish