lazzat-e-did se dekhoge machal jaoge aag hun hath lagaoge to jal jaoge mom patthar ko bana dun wo asar rakhti hun panw shoalon pe to talwar pe sar rakhti hun ye bahaaren ye umangen ye masarrat ye shabab ye shafaq-rang manazir ye shagufe ye gulab ye nawazish ye inayat kahan paoge rab se bakhshi hui saughat kahan paoge meri zulfon hi ki barsat se sairab ho tum phul ki tarah mere sae mein shadab ho tum ye bhi sach hai ki bayaban mein gulistan hun main muztarib ruh ki taskin ka saman hun main mukhtasar ye ki mujhe pyar se pa sakte ho tum mere dil ke gulistan mein aa sakte ho gar meri zat ka irfan tumhein mil jae ye zamin kya hai aasman tumhein mil jae haisiyat kya hai meri aur haqiqat kya hai main batati hun tumhein meri fazilat kya hai ek aadam ke alawa koi insan na tha main na hoti to tumhaara koi imkan na tha