aurat

By prem-pal-ashkJanuary 4, 2024
'aql ki barikiyon se dur hai tera khayal
tu elora ka tasawwur tu ajanta ka nikhaar
tere charnon mein hai ganga tu himala ka waqar
taj se bhi khub-surat hai tera husn-o-jamal


'azm hai partap ka to tujh mein 'gautam' ka shu'ur
teri mitti kya hai sona tu sarapa nur hai
zindagi ka har takalluf tujh se koson dur hai
phul ki patti se dil hota hai tera chur-chur


dudh aanchal mein hai tere aankh teri nam bhi hai
tere dam se pyar ko hasil hai duniya mein baqa
ek pal mein phunk de tu khirman-e-makr-o-riya
ye haqiqat hai ki tu sho'la bhi hai shabnam bhi hai


tujh se takkar lene wala aakhirash pachhtaega
hoga chakna-chur jo diwar ban kar aaega
89372 viewsnazmEnglish