aurat

tabish-e-khurshid nur-e-mah pani ki jhalak
khanda-e-qulqul sada koyal ki ghunchon ki chatak

larzish-e-simab bijli ki tadap shakhon ka loch
aql ki tezi tabiat ki upach shair ka soch

iztirab-e-mauj kanton ki khalish nagan ke bal
tir ki surat kaman ka ijz shamshiron ke phal

aab moti ki chamak kundan ki hire ki damak
ashrafi ka rup taksali mahasil ki khanak

daman-e-kohsar ke manzar nawa-e-abshaar
shor-e-dariya karwaten lahron ki sahil ka qarar

zamzame ka itr kaif-e-naghma lai ki pukhtagi
shorish-e-mai, laghzish-e-mai-nosh, josh-e-be-khudi

aahu-e-ram-khurda ki wahshat kharare teziyan
gae ki sanjidgi jugnu ki aatish-reziyan

wadi-e-kashmir ki nuzhat gulon ka rang-o-bu
sarw ka qad kabk ki raftar qamri ka gulu

zulmat-e-sham-e-awadh subh-e-banaras ka nikhaar
aagre ke taj ki azmat himala ka waqar

somnati rifaten bhaarat ki tahzib-e-qadim
patli-putra ki shohrat magdh ki shan-e-azim

dil-paziri-e-azan dildari-e-naqus-e-dair
sehan-e-masjid ka taqaddus partaw-e-fanus-e-dair

harbhajan ka faiz husn-e-e'tiqad-e-barhaman
kumbh ke mele ki zinat waqat-e-gang-o-jaman

barbat o chang o surud o arghanun ke zer-o-bam
dil-kashi pardon ki aawazon ke jadu tal sam

talkhi-e-anjam jab sab koshishen nakaam hon
khushnuma sebon ki halki turshiyan jab kham hon

dekh kar ye iqtibas-e-kar-gah-e-ins-o-jaan
kar-pardazan-e-qudarat mein huin sargoshiyan

ek bola imtizaj un ka qayamat saz hai
dusra kahne laga khamosh koi raaz hai

ye anasir ek muddat tak rahe garm-e-amal
aakhiri tahrik-e-ismat se hue aapas mein hal

subh-dam jab gosha gosha matla-e-anwar tha
zarra zarra aalam-e-nairang ka sarshaar tha

is murkkab ko usuli junbishen hone lagin
ye hayula irtiqai manzilen tai kar gaya

shah-par-e-parwaz iffat se bulandi par gaya
e'tidal-e-unsuri par pa liya jab iqtidar

ain-fitrat ke mutabiq shakl ki ek ikhtiyar
aai aaza mein gudazi aur garmi jism mein

aai rukhsaron pe surkhi aur narmi jism mein
paya-e-takmil ko pahuncha junhi ye shahkar

dast-e-qudrat ne tatoli nabz us ki bar bar
bistar-e-nikhat pe ye putli jo mahw-e-khwab thi

mast angdai ke hathon jag uthi sharma gai
dekh kar shair ne us ko nukta-e-hikmat kaha

aur be-soche zamane ne use aurat kaha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close