badhati hun qadam fauran hi pichhe khinch leti hun ye andesha mujhe aage kabhi badhne nahin deta na-jaane log kya sochen na-jaane log kya bolen isi ek khauf ke ghere mein jiti aur marti hun magar kab tak tashakhkhus ke liye apni zaruri ho gaya hai ab uthun aur kat dun ek ek kar ke bediyan sari baghawat kar dun duniya ki sabhi farsuda rasmon se har ek dastur-e-beja se khuda ne jab kisi se mera rutba kam nahin rakkha to kis ne haq diya un ko mujhe zanjir pahnaen zaban kholun jo apne waste tala laga jaen mujhe malum hai meri muqarrar had kahan tak hai mujhe hai pas apni hurmat-o-qadr-o-riwayat ka wafa namus-o-iffat ka sharafat aur azmat ka ki ye aqdar mere panw ki bedi nahin hargiz inhin aqdar ke hamrah mujh ko aage badhna hai mila hai haq mujhe bhi waqt ke hamrah chalne ka khud apne khwab bunne ka inhen tabir dene ka ye duniya mere hathon se qalam jo chhin leti hai hamesha chulhe-chauke tak hi bas mahdud rakhti hai ise shayad yahi khadsha satata rahta hai har-dam meri ye aagahi mujh ko nai pahchan de degi