awadh mein chand jo rahta hai khub-surat hai khuda ka shukr hai ab tak sahi-salamat hai usi ke nam se mansub zindagi hai meri usi ki khushiyon mein poshida har khushi hai meri usi se milne ke khatir main ji raha hun abhi gham-e-firaq ka ye zahr pi raha hun abhi wahi hai mera qasida wahi hai meri ghazal main us ko pyar se kahta hun zindagi ka kanwal wo mujh se dur hai phir bhi meri zarurat hai jo zakhm main ne mohabbat ke badle paya hai yahi hai 'ishq ka hasil yahi kamaya hai wafa khulus murawwat nibhae jaunga hamesha git mohabbat ke gungunaunga wo chand hai to mera dard bhi to samjhega wo mere dil kisi din zarur utrega milunga us se main ek din yahi haqiqat hai wo chand jis ne banaya hai mujh ko diwana wo chand jis ne mujhe kar diya hai begana main apne chand pe ye apni jaan warunga falak se ek na ek din use utarunga jahan-e-'ishq mein ye 'umr sarfaraaz rahe wo mere dil mein hamesha ba-husn-o-naz rahe wo meri pahli mohabbat meri masarrat hai