khatm hua din suraj duba sham hui aur ubhre tare jagmag jagmag karte aae nur ke tukde pyare pyare dur kahin se thande thande tez hawa ke jhonke aae kandhon par apne wo utha kar chhote chhote baadal lae un ko dekh ke aur bhi barsa nur masarrat ka taron se koi chhupa aur koi nikla baadal ke in ambaron se khel rahe hon jaise bachche aankh-micholi gali gali mein ya shabnam ke qatre chamken ojhal ho kar gali gali mein