baba

tumhaari jaanib dua ke moti rawana karte
dikha ye sakte

ki ladli ki sunahri aankhen bhari hui thin
wo ek chitthi ki jis mein khud ko dilasa dete

bilak rahi thi
wo bikhre safhat diary ke

ki jin mein tum par likhi thin nazmen
bhare the ashaar

kaise bhejen
ki tum to mitti ke ghar mein ja ke base hue ho

zamin walon ko aa ke dekho
ki bin tumhaare

hamari iden bhi matamon ki tarah guzarti hain bain karte
udasiyon ki siyah bhatti mein jalte bujhte

ki aasmani bashaaraton ka jo silsila tha
wo ek muddat se tod rakkha hai

jod dalo
tumhaare khwabon ki muntazir hai tumhaari lado

so is se pahle safar ke asbab bandh le wo
samaaton ko sada suna do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close