bachchon ki baaten

aae hain aasman par baadal
chhae hain aasman par baadal

abr hi abr dekhte hain hum
hai barasne ko jo abhi chham-chham

aur malum aisa hota hai
chhup ke khurshid jaise sota hai

ghar ke kothe pe ek do bachche
chaarpai pe hain date baithe

boliyan bhant bhant hain un ki
mithi mithi hain bholi bhaali si

ek bola ki jaante ho kya
kya hai ye aasman par chhaya

rui ke gale nam hai in ka
aana aur jaana kaam hai in ka

jab pahadon se log aate hain
rui ke gale sath late hain

kar ke achchhi tarah se in ko saf
lambe chaude banate hain wo lihaf

baat sach ye hai dusra bola
aasman par laga hai ek khema

hai ghalat ye bhi tisre ne kaha
asl mein hai ye dudh ka dariya

aasman wale is ko pite hain
is ko pi kar farishte jite hain

mil ke yun sab ne aisi baaten kin
nanhe nanhon ne nannhi baaten kin

dekhte dekhte hua phir kya
musla-dhaar meinh barasne laga

pyare bachche ye ladle bachche
apne apne gharon ko bhag gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close