bachchon ki qawwali

By shaukat-pardesiNovember 20, 2020
halwe ke liye phir aaj bhi hum ek aas lagae baithe hain
jo baat zaban par la na sake wo dil mein chhupae baithe hain
thodi si mithai taq pe thi mutthi mein churae baithe hain
abbu ke bhagae bhage the ammi ke bulae baithe hain


kuchh bach bhi gai hain pitne se kuchh mar bhi khae baithe hain
tujh se to hamein koi shikwa ai khaliq-e-subh-o-sham nahin
school hi aisa hai ki jahan kuchh chain nahin aaram nahin
is waqt agarche sar mein kisi ke dard barae nam nahin


har waqt magar padhte rahna kam-umron ka to kaam nahin
sab apni apni kursi par sudh-budh bisrae baithe hain
ek bar kahin se mil jata hum sab ko charagh-e-chain agar
bas sal mein ek din padh lete darje ki kitaben far far far


phir khwab hi dilchaspi rahti phir khub maza aata din bhar
school mein jaana kyun hota har roz ye rahta kyun chakkar
ummid nahin lekin phir bhi ummid lagae baithe hain
lekin ye zamana ilm ka hai ye waqt hai aage badhne ka


mil-jul ke karenge gar mehnat ho jaega har sapna pura
himmat se hui hain tamiren jurat se hua hai kaam naya
jab azm-o-amal achchha hoga achchha hi natija bhi hoga
hum log yahan halwa kha kar ek shama jalae baithe hain


66885 viewsnazmEnglish