bachpan

By asna-badrOctober 27, 2020
ammi kahtin khel na khelo ghar ke kaam mein hath batao
abbu kahte padhne baitho t-v mein mat waqt ganwao
ammi kahtin bargar chhodo ghar ki sabzi roti khao
abbu kahte apne darje mein kam az kam awwal aao


ammi kahtin barish mein mat bhigo khud ko khub bachao
abbu kahte dudh piyo aur book le kar bistar par jao
pyare bachpan jao yahan par dal nahin galne wali
un donon ke aage meri ek nahin chalne wali


45443 viewsnazmEnglish