baDa pyara mera hindostan hai
By ahmad-wasiMarch 1, 2021
bada pyara mera hindostan hai
bahaaron se saja ye gulistan hai
himala ki bulandi kah rahi hai
mere daman mein ganga bah rahi hai
meri aaghosh mein jamuna rawan hai
bada pyara mera hindostan hai
yahan ubhre hazaron dharam-o-iman
hain ek parcham tale hindu musalman
milan ki rag janta ki zaban hai
bada pyara mera hindostan hai
ragon mein daudti hai rawani
bahadur shah ki sun kar kahani
bhagat-singh aaj bhi zinda yahan hai
bada pyara mera hindostan hai
bahaaron se saja ye gulistan hai
himala ki bulandi kah rahi hai
mere daman mein ganga bah rahi hai
meri aaghosh mein jamuna rawan hai
bada pyara mera hindostan hai
yahan ubhre hazaron dharam-o-iman
hain ek parcham tale hindu musalman
milan ki rag janta ki zaban hai
bada pyara mera hindostan hai
ragon mein daudti hai rawani
bahadur shah ki sun kar kahani
bhagat-singh aaj bhi zinda yahan hai
bada pyara mera hindostan hai
57179 viewsnazm • English