badi ka anjam

By faizi-fatehabadiMay 23, 2021
banaya tha chidiya ne ek ghonsla
ki wo ek ghar ke tha chhat mein bana
hue ek bar us ke bachche wahan
khilati ghiza la ke bachchon ko man


wo bahr-e-ghiza thi kisi din gai
pareshan hui jab wo wapas hui
ki bachche to hain lekin aafat ye thi
ki baitha hai bachchon mein ek sanp bhi


pareshan aur muztarib ho gai
bahut aah-zari se fariyaad ki
magar sanp bachchon ko khane laga
to us ne bahut minnaton se kaha


jo tu kar raha hai ye harakat buri
zarur intiqam is ka lungi kabhi
suni jab ki ye sanp ne guftugu
laga kahne hans kar sataegi tu


wo hun main bahadur ki darta hai sher
karegi bhala tu mujhe kaise zer
gharaz donon bachchon ko wo kha gaya
shikam-ser ho kar wahin so raha


ye dekha jo chidiya ne aankhon se haal
to phir sanp par ghussa aaya kamal
judai mein bachchon ke roti rahi
wo is ranj mein jaan khoti rahi


hui shab charaghon mein batti padi
to jalti hui batti le kar udi
jahan sanp tha chhat mein soya hua
wahan us ne batti ko ab rakh diya


jo logon ne dekha to ghabra gae
ki aisa na ho aag chhat mein lage
koi aadmi jald chhat par chadha
laga saf karne wo jab ghonsla


wahan us ne dekha ki hai ek mar
to fauran hi lath se diya us ko mar
hai 'faizi' ye zarbul-masal mustanad
badi ka hamesha hai anjam bad


73550 viewsnazmEnglish