bahaar ke din

By afsar-merathiFebruary 17, 2021
aaya hai bahaar ka zamana
baghon ke nikhaar ka zamana
kaliyan kya kya chatak rahi hain
sari raushen mahak rahi hain


halki halki ye un ki khushbu
phaili hui hai chaman mein har su
chidiyan gati hain git pyare
sunte hain chaman mein phul sare


shakhon ka bana liya hai jhula
phulon se lada hua hai jhula
konpal har ek hai kaisi pyari
sabzi mein jhalak rahi hai surkhi


kitni rahat-faza hua hai
goya jannat ka dar khula hai
khush khush har ek aadmi hai
har shai mein bala ki dilkashi hai


ye subh ka dil-fareb manzar
ye sham ka husn ruh-parwar
ye raat ko chandni ka aalam
allah re be-khudi ka aalam


kaisi dilchasp chandni hai
chadar ek nur ki tani hai
har dil mein umang kis qadar hai
sab par hi bahaar ka asar hai


sadkon pe jo log ja rahe hain
ghazlen 'afsar' ki gar rahe hain
61090 viewsnazmEnglish