bahaar

By majeed-amjadMay 12, 2021
har bar isi tarah se fitrat
sone ki dali se dhaalti hai
sarson ki kali ki zard murat
thama hai jise kham-e-hawa ne


har bar isi tarah se shakhen
khilti hui konplen uthae
raston ke salakhchon se lag kar
kya sochti hain ye kaun jaane


har bar isi tarah se bunden
rangon bhari badliyon se chhan kar
aati hain masafaton pe phaile
tanbe ke waraq ko thanthanane


har sal isi tarah ka mausam
har bar yahi mahakti duri
har subh yahi kathor aansu
rone ke kab aaenge zamane


26853 viewsnazmEnglish