sab ne mujh se kiya hai kinara sirf tera hai yarab sahaara ashk-e-gham yunhi bahte rahenge ya rukega kabhi gham ka dhaara meri kashti hai tufan ki zad mein mil gaya bahr-e-gham ka kinara zabt ki bhi koi intiha hai main kahan tak karun gham gawara su-e-manzil badhi hun main yarab teri rahmat ka le kar sahaara kis tarah haal dil ka chhupaun jo ho chehre se gham aashkara hum zamane mein sab ke hain 'nashad' aur koi nahin hai hamara