aur chadar par shab-bashi ka zinda lahu tha us ne uth ke angdai li aaine mein chehra dekha sarshaari mein itminan ki thandi sans li us ki thaki hui aankhon mein diwani maghrur chamak thi fath ke nashshe se palken bojhal thin us ne socha hide-park mein jo ladki ek jasusi nowel mein dubi use mili thi wo to jaise fakhta nikli us ne apni sex appeal ka kampa mar ke ram kiya tha us ki lachchhe-dar anokhi baaten sun kar us ke sath chali aai thi subh-sawere chae bana kar bosa de kar chali gai thi wo to sach-much bakara nikli (warna sola sattarah baras ki ladki harrafa hoti hai) us ne socha us ne shab bhar band kali par ek zanburi raqs kiya tha aur chadar par itna lahu tha jaise jang-e-azim isi bistar par ladi gai thi us ne apni monchhon ke guchchhe mein apni hansi dabai ek khayal se aankhon mein saya lahraya sar chakraya ye to us ki mahwari ka murda lahu tha jo chadar par phail gaya tha