ye aag pani hawa ye mitti ye wahimon ki karishma-sazi ye ilm-o-fan ke tamam qisse ye aql-o-danish ki sari baaten ye sab dilase banawati hain main doston dushmanon ki zad mein hun har koi pesh-goiyon ke daraaz qisse suna raha hai ki sab ko apne currency noton ki fikr hai har koi talab aur rasad ke chakkar mein apne bhaw chadha raha hai khuli fazaon mein par samete hue parinde bhi aane wali saubaton ke muhib manzar dikha rahe hain ye kya hai sab kuchh ki kuchh nahin hai hawas ki dastaras se baala mere liye sirf wo sadaqat hai jo mere jism-o-jaan ko chhu kar guzar rahi hai ki main haqiqi mushahidon tajrabon ki bhatti mein jal raha hun ye aag pani hawa na mitti hai sirf main hun ye sirf main hun