kai sadiyon se sahra ki sulagti ret par tanha khadi main sochti hun nahin koi nahin hai nahin koi nahin hai jo mere andar bilakti khamushi ko thapkiyan de kar sula dale mohabbat ok mein bhar kar pila dale ye kaisi be-niyazi hai ki jalti ediyon ki siskiyan san kar bhi baadal chup raha hai ye kaise rat-jage aankhon mein utre hain ki jin ke silsile qarnon pe phaile hain magar main hijr ke mausam liye kab se kisi banjar zamin ke khwab ka tawan bharti hun