baraat ka ghoDa
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
khuda
tu ne mujhe ghoda banaya to
magar baraat ka
jis ke aage nachte rahte hain log
note danton mein dabae
kya nazar mein hain teri wo zulm
jo mujh par hue hain is karam ki aad mein
race ke maidan ke badle
kisi mandap talak ka ye safar
kitna thaka deta hai mujh ko
kya tujhe ma'lum hai
kya tujhe ma'lum hai dulhe ka bojh
us ko baithane ki zimmedariyan
aur us par is qadar hassas dil
jo samajh sakta hai is din ke ma'ani kya hain dulhe ke liye
koi kaisa bhi patakha chhod de pairon mein mere
shor se baje ke mere kan bhi phat jaen to kya
chaal mein apni zara sa farq main aane na dunga
pith par baithe hue dulhe ki 'izzat meri 'izzat
han magar ye bhi khayal aata hai aksar
main to har zillat utha kar
apni zimmedariyan puri karunga aur karta aa raha hun
tu magar kab is tarah sochega us makhluq ke bare mein
jo teri aman mein hai

18309 viewsnazm • English