barf ka lafz

By yameenJuly 14, 2021
ret hamare talwe bhunti hai
aur aankhen lal karti hai
jhil par kuchh nazar nahin aata
chand hamare khwabon se nikal kar


sarhadon par dher ho gaya hai
kinare par gire bij aankhen kholte hain
aur phir hamesha ke liye mund lete hain
zafran ka khet is bar bhi bar aawar na hua


kaun kurede mitti
aur apna nasib talash kare
zamin ko koi dekhta hi nahin
sab aasman ki taraf dekhte hain


magar ye nahin jaante
ki chikh chinar se unchi kyon nahin jati
chandni kohsaron se phisalti hai
aur barf chhaton se


shangarfi silon par girte girte
koi lafz bana deti hai
koi bhi lafz
jo zaban par aane se pahle


kahin khayal mein ugta hai
jis ke mani par koi gawah nahin
51422 viewsnazmEnglish