barq-e-tur
By sajida-zaidiNovember 15, 2020
main apne arsa-e-hasti ki dhundhti thi asas
tamam-umr bas ek aisi raushni ki talash
ki jo nigah ke daman mein
ho sake na asir
meri tabiat-e-bechain ki rahi taqdir
meri talab ki wirasat
meri jabin-sai
ye abadiyat ka taqaza
wo dasht-paimai
tere huzur magar ye bhi kargar na hui
kahin fazaon mein
chamakti to thi wo barq-e-tapan
us ek lamhe mujhe jurat-e-nazar na hui
tamam-umr bas ek aisi raushni ki talash
ki jo nigah ke daman mein
ho sake na asir
meri tabiat-e-bechain ki rahi taqdir
meri talab ki wirasat
meri jabin-sai
ye abadiyat ka taqaza
wo dasht-paimai
tere huzur magar ye bhi kargar na hui
kahin fazaon mein
chamakti to thi wo barq-e-tapan
us ek lamhe mujhe jurat-e-nazar na hui
24340 viewsnazm • English