khub baadal ka barasna pyar hai barsat mein rahmaton ka is tarah izhaar hai barsat mein arsh se aaya zamin mein jazb pani ho gaya aap ko aane mein hum tak aa rahe barsat mein ai khusha dil ab to sailab-e-mohabbat aaega aaj to ba-chashm-e-nam dildar hai barsat mein yun to pine ke bahut charche hain bazm-e-zohd mein kaun kafir hai jise inkar hai barsat mein tar barish ka na tute baj uthen tar-e-junun aafrin daman-e-dil bhi tar hai barsat mein dusre sab mausamon mein hain rawayye sard-o-garm us ke lab par han magar iqrar hai barsat mein ai 'suhail' us ko zara khul kar barasna chahiye ehtiyat-e-husn-e-dil dil bar hai barsat mein