ek pyara bachcha main bhi hun aankhon ka tara main bhi hun mere ham-joli aur ham-umr jab ilm ki rah par chalte hain to aise pyare lamhon mein kyon mere chhote hathon mein koi waraq nahin koi lafz nahin auzar hain bas sab lohe ke kyon mere kapde gande hain kyon barson se ye aise hain main khud bhi to ek phul hun nan phir phulon ko kyon bechta hun main sahab ke nae booton par kyon subh polish pherta hun gar aisa karna na chahun kyon mujh par hath phir uthta hai kyon bagh ka har ek kanta hi mere pairon mein chubhta hai phulon jaisa to main bhi hun taron jaisa to main bhi hun ai rab teri is dharti par chanda jaisa to main bhi hun bas itna puchhna chahta hun bas itna sochta rahta hun gar sab bachchon jaisa hun main to bachcha kyon nahin lagta hun