bas yunhi jite raho kuchh na kaho subh jab so ke utho ghar ke afrad ki ginti kar lo tang par tang rakhe roz ka akhbar padho us jagah qaht gira jang wahan par barsi kitne mahfuz ho tum shukr karo radio khol ke filmon ke nae git suno ghar se jab niklo to sham tak ke liye honton mein tabassum si lo donon hathon mein musafe bhar lo munh mein kuchh khokhle be-mani se jumle rakh lo mukhtalif hathon mein sikkon ki tarah ghiste raho kuchh na kaho ujli poshak samaji izzat aur kya chahiye jine ke liye rose mil jati hai pine ke liye bas yunhi jite raho kuchh na kaho