phir nazar aati hai sabze ki faza mein dur tak aur khushbu se mahakti hain hawaen dur tak jati hain qumri-o-bulbul ki sadaen dur tak niche upar aage pichhe daen-baen dur tak hain tarannum-rez yaksar shakh-o-barg-o-bar aaj ban gaya hai resha resha tar-e-mausiqar aaj gulshanon mein hain urusan-e-bahaar aarasta gulban-o-nakhl-o-nihaal-o-shakhsar aarasta sabza-e-gul se hain dasht-o-kohsar aarasta ho gaya sara jahan aaina-dar aarasta har lab-e-ju par hain yun sarw-e-khiraman sainkadon goya shishe mein utar aai hain pariyan sainkadon dahr se madum jade ke nishan hone lage har taraf aasar-e-sar-garmi ayan hone lage jada-paimai manazil ka rawan hone lage munjamid dariyaon ke pani rawan hone lage pattharon mein josh-e-tasir-e-numu paida hua har rag-e-afsurda mein taza lahu paida hua ai wafa khulte hain tujh par aaj kya kya raaz dekh chal chaman mein bulbul-o-gul ke niyaz-o-naz dekh jumbish-e-mauj-e-nasim-e-subh ka eajaz dekh tair-e-be-baal-o-par ki hasrat-e-parwaz dekh chhod ghaflat aur mahw-e-garm-joshi tu bhi ho arsa-e-hasti mein garm-e-taza-koshi tu bhi ho