aadmi ko 'aql-o-‘ilm-o-agahi deta hai kaun chand ko taron ko aakhir raushni deta hai kaun kaun hai jis ne bichha rakkha hai ye farsh-e-zamin phul ko rangat phalon ko tazgi deta hai kaun kis ki hikmat se hai aakhir aasman thahra hua ye zamin gardish mein hai aur ek jahan phaila hua rizq pahunchana hai kis ka faiz har makhluq ko kis ne suraj ko khala mein chhoda hai jalta hua