baz-gasht

By mahmood-ayazNovember 5, 2021
khamushi rengti hai rahon par
ek afsun-ba-dosh khwab liye
raat ruk ruk ke sans leti hai
apni zulmat ka bojh uthae hue


muzmahil chand ki shuaon mein
bite lamhon ki yaad raqsan hai
jaane kin mah-o-sal ka saya
waqt ki aahaton pe larzan hai


ek yaad ek tasawwur-e-rafta
sina-e-mah se ubharta hai
hai ye sarshaari-e-hayat ka rang
dard kin manzilon se guzra hai


18917 viewsnazmEnglish