bekas insan

By raabia-sultana-nashadNovember 13, 2020
footpath pe ek bekas insan
taklif mein tadpa karta hai
duniya mein koi gham-khwar nahin
majbur hai aahen bharta hai


barsat ho ya jada garmi
har mausam ek guzarta hai
ehsas na kapdon ka tan par
bas bhuk ke mare marta hai


ambar pe kude ke ja kar
wo pet ka dozakh bharta hai
phir bhi tujh pe jaan deta hai
phir bhi tera dam bharta hai


hai waqf-e-sitam duniya mein jo
jaan tujh pe nichhawar karta hai
kuchh bol mere mahbub khuda
kyon us pe jafaen karta hai


kya tere khazane khali hain
ya tu bhi kisi se darta hai
jab tera koi qanun nahin
karne de jo insan karta hai


jis waqt se dekha hai yarab
us waqt se ye dil darta hai
jo tujh pe mare jo tujh se dare
tu zulm usi par karta hai


aa arsh se tu bhi dekh zara
kyunkar tera banda marta hai
'nashad' ki aankhon se aksar
tufan ashkon ka bahta hai


57250 viewsnazmEnglish