beradaran-e-watan se

By shahzadi-kulsumNovember 18, 2020
mulk ki haalat pe sinon se dhuan uthta nahin
saz-e-dil khamosh hain shor-e-fughan uthta nahin
kis liye aankhon se tufan-e-nihan uthta nahin
phul raunde ja rahe hain baghban uthta nahin


be-hisi ki intiha hai hosh mein aate nahin
zillaton par zillaten hoti hain sharmate nahin
shoala-e-ehsas bujhta hai hawa de do use
qaumiyat dam todti hai kuchh dawa de do use


mulk mitne ko hai paigham-e-baqa de do use
mutmain baithe ho dil sine mein ghabraata nahin
qaum ke dam todne par bhi taras aata nahin
sans le kar is faza mein ruh ghabraati nahin


jauhar-e-ehsas-e-khuddari ko sharm aati nahin
tum ko nadari watan ki khak tadpati nahin
ye ghulami ki bala hairat hai kha jati nahin
zindagi ko dawat-e-sad-marg dena chahiye


maut ki aaghosh mein aaram lena chahiye
chhod do nakaami-e-qismat ke shikwe chhod do
kuchh bhi himmat hai to ye tauq-o-salasil tod do
auj ki jaanib nigah-e-sharmagin ko mod do


rifat-e-mazi se phir taqdir-e-farda jod do
sach to ye hai qaum ke bas tum alam-bardar ho
ta-ba-kai ye khwab-e-ghaflat so chuke bedar ho
77670 viewsnazmEnglish