bhaarat ki adaen

By mohammad-shafiuddin-nayyarNovember 7, 2020
ek duniya ko tadpati hain jaana na adaen bhaarat ki
par dil par chot lagati hain pur-dard sadaen bhaarat ki
wo is ki zamin wo is ka falak wo chand ki wo suraj ki chamak
wo taron ki baham chashmak dilkash wo fazaen bhaarat ki


aankhon ko thandak deti hain man ki chinta har leti hain
aakash pe jab chha jati hain ghanghor ghataen bhaarat ki
ek bar yahan jo aata hai bas bhaarat ka ho jata hai
har dil ki jot jagati hain rangin fazaen bhaarat ki


kya ulta rang hai duniya ka kya aundhi aql hi duniya ki
bhaarat ke liye janjal banen duniya se wafaen bhaarat ki
lakhon bimar tadapte hain lakhon nadar phadakte hain
bangal bihaar chalo to zara haalat dikhlaen bhaarat ki


bhaarat-bashi izzat paen phir in ke achchhe din aaen
is ek maqsad par mil jaen jitni bhi sabhaen bhaarat ki
phir aazadi ke saz bajen phir des ko apne bhag lagen
phir ek ek kar ke puri hon sari ichhaen bhaarat ki


hum sab aapas mein mil jaen dil ki kaliyan khil khil jaen
yun mil-jul kar phir dur karen sari biptaen bhaarat ki
'gandhi' hon 'qaid-e-azam' hon ye hon wo hon ya koi ho
jo qaum ki khidmat karta hai pata hai duaen bhaarat ki


jo hindu aur musalman ko shah de de kar ladwate hain
wo hath se apne karte hain tayyar chitaen bhaarat ki
duniya ke hilae hil na saken duniya ke mitae mit na saken
kuchh aisi hain kuchh aisi hain mazbut binaen bhaarat ki


'nayyar' hum apni khidmat se firdaus bana den bhaarat ko
phir is duniya mein az-sar-e-nau hum qadr badhaen bhaarat ki
73759 viewsnazmEnglish