bhai

By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
pichhli raat ko nind na aai
main ne ek taswir banai
us taswir ne mujh se puchha
kaun ho tum ai mere bhai


main bola ek qaidi hun main
jis ki qismat hai tanhai
andhe kuen mein dal ke ek din
rukhsat ho gae mere bhai


us din se sab bhul gaya main
kya nichai kya unchai
kaisa andhera kaisa ujala
kaisi aankhen kya binai


kaise pahad aur kaise jangal
kaisi wadi kaisi tarai
kitni unchi hogi choti
kaisi hoti hai gahrai


kaise hanste ubalte chashme
kaisi dariya ki lambai
kaisi hoti hain diwaren
kaisi hoti hai angnai


kaise din aur kaisi raaten
kaise parbat kaisi rai
kaise shahr aur kaisi galiyan
kaise bajti hai shahnai


ab kuchh yaad nahin aata hai
kya apni hai kya hai parai
tab taswir ye mujh se boli
mere bhai mere bhai


purab pachchhim uttar dakhkhin
kuchh deta hai tum ko dikhai
main kya kahta kuchh na bola
dur ki ek aawaz si aai


bhai bhai bhai bhai
20301 viewsnazmEnglish