bhakkar ke bazar ko dekha sahra mein gulzar ko dekha majburon ke pet ko dekha qaid-e-azam gate ko dekha kya samjhe kya jaane dekha sab ko sina tane dekha shalwaron se 'ari dekha tah-bandon ko jari dekha kaliyon ko sharmate dekha khul kar dhola gate dekha hotel wale 'arsh pe dekhe hotel sare farsh pe dekhe gahak aur byopari dekhe duble dekhe bhaari dekhe saf aur phaile phaile dekhe kapde maile maile dekhe ladke chhail-chhabile dekhe har-su ret ke tile dekhe tute phute nale dekhe mukhlis tange wale dekhe basti rasti basti dekhi mulkon ki bhi hasti dekhi gali gali dil-afza dekhi thal walon ki duniya dekhi mazduron ki mahfil dekhi dur se kapde ki mil dekhi begam dekhi bandi dekhi dhan walon ki chandi dekhi daulat 'izzat wali dekhi jeb gharib ki khali dekhi rahm ke talib bande dekhe zardaron ke phande dekhe 'ilm-o-adab ke pale dekhe shohrat ke matwale dekhe sha'ir she'r sunate dekhe same' sardi khate dekhe dil badhte dil ghatte dekhe murgh batere batte dekhe haal mein dongda padte dekhe bhuke sher ko ladte dekhe ek taswir nirali dekhi dane bhunne wali dekhi sho'la dekha shabnam dekhi phulon mein khushbu kam dekhi duniya aankhen malte dekhi waqt ki chakki chalte dekhi nasuron ko riste dekha insanon ko piste dekha kuchh shatranj ki bazi dekhi kuchh mehman-nawazi dekhi ek taraf insan ko dekha shaikh ko dekha khan ko dekha pyaron ke andaz ko dekha sufi ji ke naz ko dekha ek ada-e-khas ko dekha logon ke ikhlas ko dekha sher afzal ki shan ko dekha momin ke iman ko dekha 'adam' ne chhup kar saqi dekha hum ne sab kuchh baqi dekha