bhul na jaana
By aadil-aseer-dehlviOctober 22, 2020
wada kiya tha aap ne mujh se
yak-shamba ko khir pakegi
aaj hai shamba yaad dila dun
zehn mein taza baat rahegi
pyari ammi bhul na jaana
wada kiya tha aap ne mujh se
yak-shamba ko paise milenge
aaj hai shamba yaad dila dun
warna paise kaise milenge
pyare abbu bhul na jaana
wada kiya tha aap ne mujh se
yak-shamba ko sair karenge
aaj hai shamba yaad dila dun
warna kaise yaad rakhenge
pyare bhayya bhul na jaana
wada kiya tha aap ne mujh se
yak-shamba ko kaam na dengi
aaj hai shamba yaad dila dun
pyari baji khub hansnegi
pyari baji bhul na jaana
yak-shamba ko khir pakegi
aaj hai shamba yaad dila dun
zehn mein taza baat rahegi
pyari ammi bhul na jaana
wada kiya tha aap ne mujh se
yak-shamba ko paise milenge
aaj hai shamba yaad dila dun
warna paise kaise milenge
pyare abbu bhul na jaana
wada kiya tha aap ne mujh se
yak-shamba ko sair karenge
aaj hai shamba yaad dila dun
warna kaise yaad rakhenge
pyare bhayya bhul na jaana
wada kiya tha aap ne mujh se
yak-shamba ko kaam na dengi
aaj hai shamba yaad dila dun
pyari baji khub hansnegi
pyari baji bhul na jaana
73538 viewsnazm • English