subh-sawere wo bistar se sae jaisi uthti hai phir chulhe mein raat ki thandi aag ko raushan karti hai itne mein din chadh jata hai jaldi jaldi chae bana kar shauhar ko rukhsat karti hai sayyare gardish karte hain shahr mein sahra sahraon mein chatyal maidan kohsaron ke nasheb-o-faraaz bana karte hain sare ghar ko dhoti hai kapde tauliye tooth-brush bistar ki chadar koi kitab uthati hai rakh deti hai radio on kiya phir roka on kiya phir koi purana khat padhti hai (ghanti baji) maryam! aa jao tum kaisi ho? wo kaise hain kya us ka koi khat aaya? (thodi khamoshi ka waqfa) tum kaisi ho tum se matlab? sach kah dun to kya kar logi dekho sab ki sab baithi hon achchha achchha (darwaza phir band ho gaya) ab kya karna! ghar to bilkul saf pada hai koi shikan bistar pe nahin hai diwar-o-dar dhule-dhulae koi dhabba ya makdi ka jala tinka kahin kuchh nahin kya karna hai! uf! wo calendar kitne baras ho gae phir bhi aaen to un se kahti hun bilkul naya calendar laen kuchh bhuk nahin ab kya karna hai let rahun? lekin kya letun jaane kitna let chuki hun khadi rahun han khadi rahun par main to kab se khadi hui hun khidki ka parda hi kholun dhup kahan tak aa pahunchi hai lao apna album dekhun nayyar shabnam shafaq subuhi akhtar juhi kaise honge aan! ye main hun itti pyari pyari thi main main bilkul hi bhul gai thi sab kitna achchha lagta tha abba, amman, bhayya, appi sab zinda the saya nani gulshan aapa han aur wo gaurayya baba aansu naghme shor thahake sare ek sur mein hote the sari duniya ghar lagti thi aman udhar bulaya kartin abba udhar pukara karte bhayya dantte appi dheron pyar jatatin khana, pina, sona, jagna, hansna, ruthna, manna dor bandhi thi ek mein ek piroya hua tha kal nammu ke ghar shadi hai pas hi koi maut hui hai college ki chhati kab hogi id phir ab ki tis ki hogi hum bhi lail-e-qadr jagenge shahla ki mangni kyun tuti? kya iqbaal koi shaer tha? chup badke abba sun lenge sae daud rahe hain ghar mein har goshe mein upar niche andar bahar daud rahe hain lambe chhote sabz o zard hazaron sae bahar shahr mein koi nahin hai dhup siyah padti jati hai qadd-e-adam aaine mein us ka nanga jism khada hai jism ke andar suraj ka ghuncha mahka hai sayyare gardish karte hain sab anjaane sayyaron mein bhule-bisre ghar raushan hain kis lamhe ka hai ye tamasha hast-o-bud ke sannate mein la-maujud ki tariki mein sirf yahi aaina raushan sirf ek aks-e-guzishta raushan bichhde ghar ka saya raushan