bint-e-hawwa hun main aurat hai mera ism-e-sharif hai ye pahchan meri aur yahi hai tarif mujh ko hai fakhr ki us qaum se nisbat hai meri fatima mariyam-o-sita si hain rahbar jis ki main bhi ashraf hun nigahon mein khuda ki mere meri to god mein khele hain masiha kitne kitne waliyon ne mere hath ki roti khai kitne shahon ne mere panw mein jannat pai main hi patthar ke makanon ko banati ghar hun main hi duniya-e-mohabbat ka hasin mehwar hun mere ausaf ginane ko ye kaghaz kam hain sinf-e-nazuk hun magar ruh meri rustam hai main ne jazbon ka tasadduq wa bharam rakkha hai meri hi zat se mansub har ek rishta hai man bahan hun kabhi biwi to kabhi beti hun koi kirdar ho mardon se wafa karti hun han magar shart-e-wafa ye hai ki paun bhi wafa main bhi insan hun kamtar nahin rutba mera aur rishton se alag bhi hai meri ek hasti jo faqat ghar mein hi mahdud nahin rah sakti ghuncha-o-gul se bhi kab chahiye tashbih mujhe husn-e-sirat se mere dijiye tarjih mujhe meri zulfon mere kajal ki na baaten kariye kuchh mere zauq-o-zehanat ko bhi achchha kahiye haisiyat ho nahin sakti nazar-andaz meri rok sakta nahin ab koi bhi parwaz meri aasman kya hai khala tak hai rasai meri azm de sakta hai khud badh ke gawahi meri be-nazir indara aur kalpana aur hir hun main apne har khwab ki ab jagti tabir hun main mera hargiz nahin kahna mujhe bartar samjhen mard hazraat mujhe sirf barabar samjhen main chalun shana-ba-shana to bura mat manen meri hurmat meri azmat ko zara pahchanen bint-e-hawwa hun 'hina' baat badi hai meri nam aurat hai mera zat badi hai meri