bipolar
By abid-razaJanuary 14, 2025
1
shahr-e-jaan
aaj viran hai
jaise gahri siyah raat ho
dard ki tez aandhi mein sare diye bujh gae
har taraf tirgi
ek jugnu bhi baqi nahin
bas andheron ki diwar hai
yas ke dasht mein
na-rasai ki yalghaar hai
hasrat-o-gham ki zanjir hilti hai jhankar hai
koi munis nahin
zindagi bar hai
2
subh-dam
yak-ba-yak
jaise jadu nagar
sara manzar badalne laga
ek shishe ka pinjra ki meri ana-gir nazron ke mantar ki hiddat se
jaise pighalne laga
phir chhanake se tuta mere samne
ab to ehsas ki sab fasilon se bahar
mera asp-e-tazi wafadar hai
aur muradon ka ek dilruba qartaba samne mere tayyar hai
aaj main hi sikandar hun aur
aaj mere hi dast-e-junun mein chamakti hui ek talwar hai

74096 viewsnazm • English