lao mujh ko dikhlao to aankhon mein hain kaise khwab kachche hain ya pakke khwab achchha in ke dam batao dekho itna zehn mein rakhna us bazar mein khwabon ke ab dam gire hain sach sach mein ek baat bataun barson pahle main ne bhi ye kaam kiya tha khwab bune the khwab the beche mujh ko to ye gorakh-dhanda ras na aaya nind ganwai chain ganwaya dekho mera kahna mano aisa karobar na karna khwabon ka byopar na karna aise karobar mein aksar ghata sahna padta hai kachche sapne tut giren to aankhen chhalni karte hain nind ka panchhi kho jata hai jina mushkil ho jata hai