camera

By January 1, 2017
camera
ek umang se
tani hui ek pur-asrar gali
patti patti aag liye jati hai
ye sarkash khun-farosh


apne barush ki jumbish se
maili subh mein
surkh rang bhar degi
aaj numu ke nile zahr se


bhari hui baithi hai
os mein tar koi be-ghar titli
nin-ped ki khwab-shakh par
pile dhani andeshon ki


dhanak pahan ke soti hai
is kohre mein
wo jadu-gar bir-bahuti kiran dikhai de
jo us ke majruh paron se


shabnam ki zanjir tod ke
use rihai de
narm ghas mein hawa ude
jo mitti mein band mahak


apne razor se kat kat ke
dharti se aazad kare
manzaron ka said mein
ek apne camere mein qaid mein


85520 viewsnazmEnglish